How To Flash Samsung Galaxy Core Prime Sm-G360H With Odin.aaj hum baat karenge ke hum kaise samsung galaxy sm-g360h mobile ko odin flash tool ki madad se flash karenge.to samsung mobiles ko flash karne ka tariqa buhat zyada aasaan hai.
agar aap ke pass computer hai to app ghar bhete apne samsung mobile ko ba aasani flash kar sakte hai.samsung mobile mai aksar problem aata hai.jis ki waja se hamai use flash karna padta hai lekin jo sab se main masla hai wo ye hai ke achanak hamara samsung mobile off ho jata hai our phir baar baar on off hota hai.
Samsung Galaxy Sm-G360H Mobile Flash Karne Ka Tariqa
Requirement:
>pc ya laptop
>usb cable
>odin flash tool.click here
>samsung usb driver
>sm-g360h flash file
Step 1 sab se pehle samsung usb driver apne computer mai install kare.
Step 2 odin samsung flashing tool ko open kare our AP per click kare.our samsung galaxy sm-g360h flash file folder mai ja kar flash file ko select kar ke odin mai open kare.
Step 3 ab apne samsung g360h mobile ka Power+Home+Volume down button aik saat dabaye our tode dher hold kare to aap ke mobile mai aik window khul jayegi us ke baad aap volume up button dabaye to aap ka mobile download mode mai chala jayega.
Step 4 ab apne samsung g360h mobile ko usb cable ki madad se pc se connect kare.
Step 5 jab mobile computer se connect ho jaye to start button per click kare to flashing start ho jayege.
tode dher mai flash complete ho jayegi our aap ka mobile on ho jayega.to is tara aap apne samsung mobile ko flash kar sakte hai.
Post a Comment