2019 Me Blog Traffic Kaise Increase Kare | 5 Important Tips

2019 Me Blog Traffic Kaise Increase Kare | 5 Important Tips


2019 Me Blog Traffic Kaise Increase Kare | 5 Important Tips.is page per main aap ko 5 aise tariqe bataunga jis se aap aasani se apne blog ki traffic buhat zyada badha sakte hain.kyu ke blog per hum buhat mehnat karte hai ache ache post likhte hai our jab us per views nahi aate to phir buhat pareshani ka saamna karna padta hai hamai our hum blog per kaam karna chod dete hai to is masle ka hal inshallah aapko is article mai mil jayega .main khud try kar chuka hu our mashallah mere blog ke traffic kafi increase ho chuki hai.


Blog Traffic Increase Karne Ke 5 Tariqe 


1. Youtube

pehle number per jo main aapko batane wala hu wo youtube hain.youtube aik buhat he important cheez hai blog ya website ka traffic badhane ke liye.


agar aap ka blog hai our aap us per post likhte hai our jo post aap likhte hai jis be topic ke hawale se aap us ke liye youtube per aik channel banaye jo bilkul free mai aap bana sakte hai.


ab jo be post aap likhte hai us ke related aap aik video bana ke us youtube channel per upload kare our us ke neeche description main us post ke baare main likhe our post ka link daal diya kare our apne video main ye bola kare ke link aap ko description main mil jayega. 

to is se zaroor wo viewer aap ke blog per aayega jis se aap ke traffic main be izafa hoga our aap ke blog ka backlink be banega youtube per to ye sab se best tariqa hai blog per traffic increase karne ka. 

2. Facebook 

dusre number per jo main aapko bata raha hu to wo facebook hai.facebook aik aisa platform hai jis per aik din main million trillion log visit karte hai to aap apne blog ke liye facebook per aik page banaye ya aik group banaye our waha per apne post dala kare.is se aap ke blog ki traffic buhat increase hogi our aap ke blog backlink be banega.



our jo be banda aap ke post ke link per click kar ke aik baar aap ke blog per aayega to wo dubara google per jo be search karega aap ka blog search main aayega ye har browser ka feature hota hai.to aap zaroor apne blog post ko facebook per dala kare our us ke baare main 2 line likha kare inshallah aap ke blog ki traffic buhat zyada increase hogi. 

3. Google Plus 

teesre number per jo main aap ko bata raha hu wo google plus hai.google plus to aap ko pata hai ke buhat powerful social media network hai.to aap google plus per apna account banaye our aap jo be post likhte hai us post ka link copy kar ke waha per daal diya kare is se aap ke blog per traffic be aayega our waha per aap ke blog ka backlink be banta jayega. 


google plus google ka khud ka product hai our ye buhat zyada famous be hai google plus ki aik khaas baat ye hai ke is per zyada tar visitor united kingdom our united states se aate hai.our in mumalik ka cpc be buhat zyada hota hai.to in mumalik se jo be aap ke blog per aayega our ads per click karega to aap ko aik click per 20 se 30 rupe tak mil sakte hai. 


4. WhatsApp 

chote number per jo main aap ko bata raha hu wo hai whatsapp whatsaap to aap ko pata hai ke aaj ke zamane main sab se zyada use hota har koi ise use karta hai ya to aap khud whatsapp per group banaye ya kisi group main ja ke apne post ka link waha daal diya kare is se aap ke blog per traffic be aayega our aap ke blog ka backlink be waha per banega jo ke aap ke blog ke seo ke liye buhat acha hai. 

5. Instagram 

paanchwe number per jo main aap ko bata raha hu wo hai instagram.instagram be aik social media platform hai.jaisa ke facebook ya twitter wagera hai isi tarha ye be hai.to instagram per aap apna account banaye our jo be naya post aap likhte hai us link instagram per daal diya kare aap ke blog ke views be barenge our waha per aap ka aik backlink be banjayega. 

buhat se dost aise hai ke wo blog bana kar buhat ache ache post likhte hai apne blog per our daily aik aik post be karte hai lekin un ke blog per phir be traffic nahi aata is ka main waja ye hai ke aap social sharing nahi karte. 

jaise jism main jaan hota hai us tarha blog ke liye jaan social media networks hai.to agar aap chahte hai ke aap ke blog ya website per views aaye to aap ko tamam famous social networks per apna account banana hai our apne blog ka link waha per dena hai.umeed karta hu ke aap ko ye baat samaj aaye hogi. 

5 Comments

Post a Comment