How To Download and Install MTK and SPD Drivers in Pc.Mtk and Spd mobiles cpu ke naam hai. kuch mobile mediatek yani (MTK) cpu wale hote hai to kuch spreadtrum yani (SPD) cpu wale hote hai. kisi be mobile ko agar aap pc ya laptop se connect karna chahte hai. to us ke liye aap ko apne computer ya laptop mai us mobile ke driver install karne parenge. tab he aap ka mobile pc se connect hoga.
our agar aap apne mobile flash karna chahte hai. to us ke liye be aap ko sab se pehle apne computer mai driver install karne parenge. tab he aap apne mobile ko flash kar sakenge. mediatek cpu wale mobiles ke liye aap ko apne pc mai mtk driver install karne parenge. our spreadtrum cpu wale mobiles ke liye aap ko apne pc mai spd driver install karne parenge.
Mtk Aur Spd Driver Install Karne Ka Tariqa
sab se pehle driver download kare our driver file ko extract kare our mtk drivers ke folder ko open kare.our mediatek-drivers-install per click kare.
us per click karne par aap ke saamne aik window khul jayega us mei likha hoga #### press any key to continue #### to app kisi be button ko press kare to driver install hona shuru ho jayenge.
us ke baad aap ke saamne aik our window khul jayega.to aap install this driver software anyway per click kare.ye window aap ke saamne baar baar khulega to aap us per click karte rahe.
us ke baad aap ke saamne aik our window khul jayega #### press any key to exit #### to aap koi button dabayenge to aap mtk driver installation ki setup mukamal ho jayegi our aap ke driver puri tara se aap pc mai install ho jayenge.
us ke baad spd driver install karne ka be same he tariqa hai.aap spd driver ko extract kare our DPInst setup per click kare.
DPInst setup per click karne ke baad our install this driver software anyway per click karte jaye our aakhir mai aap ke saamne aik window khul jayega to aap finish per click kare to aap ke pc mai spd driver install ho jayenge.
Post a Comment