4000 Hours Watchtime and 1000 Subscribers Kaise Complete Kare

4000 Hours Watchtime and 1000 Subscribers Kaise Complete Kare. youtube ne apni policy badal di hai jis waqt se youtube ne advertisement ka jo program hai. wo shuru kiya hai. to us waqt se le kar 2016 tak jab be hum youtube ka naya channel banate hai. aur google adsense ke liye apply karte to hamara jo application hai wo 3 ya 4 din mai approved ho jata tha.


4000 Hours Watchtime and 1000 Subscribers Kaise Complete Kare


Read more...
Adobe Photoshop 7.0 Free Download Full Version
Sky Drivers Download for Windows Compressed


Phir 2017 me youtube ne apni policy badal dali. ke jis youtube channel ke 10000 views honge. to tab ja ke us ka google adsense ka application approved hoga. aur wo apni youtube ki videos ko monetize kar sakega.

lekin foran aik saal baad 2018 me youtube ne phir apni policy badal dali. ke jo be naya youtube channel banayega. aur us ke channel ke jab tak 4000 hours watch time aur 1000 subscriber tab tak us ka google adsense ka application approved nahi hoga.

4000 Hours Watchtime and 1000 Subscribers Kaise Complete Kare


Ab baat ye hai ke aakhir kaise hum ye 4000 ghante watch time aur 1000 subscriber hasil karenge. to is ke liye aap ko aik baat apni zehen mai dalni hogi. ke aap ka jo content hai. wo bilkul original hona chahiye. us me kisi be kisam ka copyright issue nahi hona chahiye.

dusri baat apne youtube videos ke liye attractive thumbnail banaye. ke jab koi use dekhe to us ka video dehkne ka dil kare.

teesri baat ye ke aap ke youtube channel ka jo title ho. wo acha hona chahiye us mai keyword ka istimaal kare. aur description our tags lazmi dale. buhat se dost aise hai jo video to achi bana lete hai. lekin un ki video ka title be Seo Optimized nahi hota. aur description our tags be nahi dale hote. to apni videos me description aur tags lazmi add kare. aur title, description aapke video ke mutabik hone chahiye. aur un me keyword ka istemal kare.

4000 Hours Watch Time Kaise Complete Kare


choti baat youtube video ko promote karne ke buhat saare tarike hai. social media ko istemal kare. jaisa ke facebook page, twitter aur instagram is per ba aasani aap apni videos promote kar sakte hai. Internet per aur be buhat zyada tariqe jis me aap logo se chat kar ke apni videos aasani se promote kar sakte hai. aur social media managing apps ke zariye be app apne youtube channel ko rank kar sakte hai.

google adword keyword planner tool to ab paid ho chuka hai. jis se hum apni youtube videos ke title, description aur tags ke liye keywords talash karte te. to neeche is video mai aap ko free keyword tool ke baare mai bataya ja chuka hai. agar aap be free keyword tool istemal karna chahte hai to is video ko zaroor dekhe.

Umeed karta hu ke aap seekh chuke honge. ke youtube monetization ke liye kaise 4000 hour aur 1000 subscriber hasil karte. agar koi masla ho. to neche aap mujay comment section me likh sakte hai.

1 Comments

Post a Comment