Alibaba Seller Account Kaise Banaye - Alibaba Free Membership

Alibaba Seller Account Kaise Banaye - Alibaba Free Membership


Alibaba Seller Account Kaise Banaye - Alibaba Free Membership.ajj is page per hum alibaba seller account banane ke baare main janenge.alibaba aap ko 4 membership packages muhaya karta hai.jis ke baare main main ne detail ke saath post likha hai us ka link main aap ko is post mai de dunga.

Alibaba Premium Package 
Alibaba Standard Package 
Alibaba Basic Package 
Alibaba Free Package 

agar aap alibaba ko new join kar rahe hai to mai aap ko recommend karunga ke aap pehle free membership use kare baad mai aap phir premium package ko use kare.


yaha par aap ko batata chalu ke agar aap alibaba par account banane ja rahe hain our aap per jo be products bejenge us ka stock aap ke pass zyada hona chahiye kyu ke alibaba.com per buhat zyada traffic aata hai.jis se aap ke pass products buhat jald khatam ho jayenge.our phir dusre buyer ke liye aap ke pass stock nahi hoga.alibaba per bejne ke liye aap ke pass sankro our hazaro ke tedad mai stock hona lazmi hai.

Alibaba Free Membership Registration


aap join free per click kare to aap ke saamne aik page khul jayega.pehle box main aap ne apna email enter karna hain us ke baad aap ne slide to verify karna hain.our i agree kar ke next per click kare.



to aap ke pass email aa jayega email main aap ko link per click karna hain.

link per click karne ke baad aap information tab main chale jayenge us main aap ne password enter karna hain our phir confirm karna hain.


Password Example:- @aa99AA@


us ke baad aap ne apne country ka naam select karna.us ke baad aap ne supplier buyer our both main both ko select karna hain.us ke baad aap ne apna first name our last name enter karna hain.our phir company ka name our mobile number enter karna hai.


us ke baad confirm per click kare aap ka account register ho jayega.


our aik baat aap is account ko alibaba our aliexpress dono ke liye use kar sakte hai.

Post a Comment