Google Adsense Approved kaise kare blog ke liye jania | new trick 2019

Google Adsense Approved kaise kare blog ke liye jania | new trick 2019

Google Adsense Approved kaise kare blog ke liye jania | new trick 2019.jo tips mai aap ko batane wala hu un ko follow kar ke aap aasani se aik maheene main apne blog per google adsense approved kare.

(1) aap ko minima clored 3 blogger template use karna hai jo bilkul free blogger template hai aap google per search kar ke download kar sakte hai.main ne minima clored 3 blogger template ko use kiya hai apne blog main our mera blog sirf aik maheene main approved huwa.


(2) aap ne copy paste ka kaam nahi karna hai ke dusre ke website se article copy kiya our apne website mai paste kar diya is se kabhi be google adsense approval nahi melega is baat ka aapko khayal rakhna ok dosto aap ne apna original content likhna hai our us main achi achi images lagane.our jis be cheez ke baare main aap likh rahe hai us ke baare main pure detail ke saath aap ne likhna hai.

(3) aap ne apne blog ke liye About us,Privacy Policy,Disclaimer our Contact us ka page banana hain jo aap online aasani ke sath generate kar sakte hai aap me blog ke dekh sakte hai is tarha ke aap online aasani ke saath generate kar sakte hai.

(4) aap ne Popular post,Categories our Blog archive apne blog mai lagane hain jo minima clored template main available hote hai bas aap ne use customize karna hoga.layout main ja kar aap use customize kar sakte hai.


(5) our aap ne taqreeban 10 post likhne hain apne blog mai images ke saath.zyada bhi likh sakte hai lekin 10 se kam nahi hone chahiye our buhat ache our informative post likhne hai aap ne.our apne articles main aap ne ranked keywords ka use karna hai ta ke aap ka post google main rank kar sake our aap ke blog per zyada se zyada traffic aa sake.agar aap ke blog per traffic nahi aayega tab aapko google adsense approval nahi melega.

(6) aap ne apne blog main meta descreption our keywords lagane hain.aap ne blog jis topic ke baare main banaya hai us topic ke related aap ne keywords search karne hain our apne blog ke keywords our descreption main use karne hain.is keywords ki madad se google robots ko aap ke blog ka pata chalega our aap ka blog search main aayega. 

(7) us ke baad aap ne apne blog ko google,yandex,our bing webmaster tool main submit karna hai.aap ke blog per tab tak traffic nahi aayegi jab tak aap apne blog ko in teeno webmaster tools main index nahi karenge. 

(8) ye sab karne ke baad aap ne google adsense ke liye apply karna hai inshallah 48 gante main aap ka google adsense approved ho jayega. 

agar koi masla ho to aap mere blog ko dekh sakte hai our us ki madad se aap apna khud ka blog create kar sakte hai.

1 Comments

Post a Comment