Telenor New Sim card Activation in Biometric Bvs Tablet | Mr Solution

Telenor New Sim card Activation in Biometric Bvs Tablet | Mr Solution


Telenor New Sim card Activation Biometric Bvs Tablet.jo telenor retailer naye hai our un ko new sim activation ka tariqa nahi aata to ye article un hazraat ke liye.is article ko pura pade tab he aap jaan sakenge.

sab se pehle customer se jaan le ke un ke Cnic/Nic card per kitne sim hai agar un ke shanakhati card per 5 sim hai to phir us ka new sim activate nahi hoga our agar shanakhati card per 5 se kam sim hai to phir aap new sim activate kar sakte hai.

ab telenor magic box 2 ko log in kar ke open kare our new sim sale per ja ke click kare to aap ke saamne screen per 4 box khul jayenge 

pehle khane mai aap ne us customer ka 13 hindso ka cnic number enter karna hai.


dusre khane mai 11 hindso ka msisdn number enter kare jo sim card ke uper likha hota hai.

teesre khane main imci number ke aakhri 5 hindse enter kare imci number sim card ke uper likha hota hai.

our chote khane mai 8 hindso ka Puk Code enter kare wo be new sim card ke uper likha hota hai.

sab details enter karne ke baad customer se right hand ka thumb finger bara angoota lagaye our varify per click kare varify per click karne ke baad aap ke saamne yes our no ka option aa jayega to aap yes per click kare to tode dher ke baad successfull ka message aa jayega our sim customer ke naam per activate ho jayega.

our agar ye message aaya ke fingerprint not mached to phir aap customer ke right hand ka index finger bare angoote ke saat ka angoota lagaye phir be ye message aaya to left hand ka thumb finger bara angoota lagaye our agar phir be ye message aaya to left hand ka index finger lagaye agar phir be nahi huwa to phir 8 gante ke baad try kare aik baar mai aap sirf 4 baar angoota laga sakte hai.

Post a Comment