Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc

Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc

aaj is page main aap ko bataunga ke aap kaise android apps pc per chalayenge.to android apps aap pc per aasani ke saat chala sakte hai.is ke liye aap ko aik software download karna hoga.jis ka naam bluestacks hai.bluestacks free download kar sakte hai google se aap.bas aap ne bluestacks search karna hai.pehle number per aap ke saamne bluestacks official website aajayega use open kar aap bluestacks download kare.taqreeban 230Mb ka software hai.

Bluestacks Install Karne Ka Tariqa

pehle to aap bluestacks ko google per search kar ke download kare.bluestacks setup download karne ke baad aap ke paas blustacks ka setup file aajayega.


aap ne bluestaks setup per click karna hai.setup per click karne ke baad tode dher main aap ke pass install now ka option aajayega.aap ne simply install now per click karna hai.

Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc

install now per click karne ke baad bluestacks setup extract hona shuru ho jayega.aap ne bluestacks puri tarha se extract hone tak intizar karna hai.

Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc

jab bluestacks extract ho jayega to aap ke saamne complete ka window aa jayega to aap ne complete per click kar dena hai.

Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc

complete per click karne ke baad bluestack automaticaly tode dher ke baad start ho jayega.lekin start hone main toda time le ga kyu ke bluestacks bada he heavy software hai to is liye start hone main toda time lega.baqi aap ke computer ya laptop ke processor per defend karta hai.

Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc

us ke baad jab bluestacks open ho jayega to aap ke saamne language select karne ka window khul jayega aap ne simply english select kar lena hai our ok kar dena hai.



us ke baad aap ke saamne gmail id enter karne ka window khul jayega.bluestacks be mobile ki tarha hai jaise ke aap android mobile main playstore ko use karne ke liye pehle gmail id enter karte hai.bilkul usi tarha aap bluestacks ko use karne ke liye pehle gmail id enter karenge tab he aap bluestacks software ko use kar paenge.


Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc
gmail id enter karne ke baad aap ne apps center ke tab per click karna hai.to aap ke saamne playstore open ho jayega.ab aap jo be app ya game install karna chahte hai wo aap easily install kar sakte hai bas aap ne search karna hai our install per click karna hai.


koi be app ya game install hone ke baad my apps tab main jala jayega.har game ya app ka shortcut aap ko desktop screen per show hoga direct open karne ke liye.

our be buhat se feature hai bluestacks main jo aap bluestacks ko install kar ke dekh sakte hai.

bluestack alternative software be aap ko internet per buhat mil jayenge lekin bluestacks aisa powerful software hai jis ka koi be dusra software muqabla nahi kar sakta.to agar waaqi main aap mobile apps ko aap pc main istimaal karna chahte hai to main aap ko reccomend karunga ke aap bluestacks ko he use kare.bada he best software hai.


Post a Comment