me 100% guarantee ke saath kehta hu ke in galtiyo ki waja se he hamara computer slow work karta hai our hang hota hai.
jis se pareshan ho kar hum computer ya laptop ko theek karne ke liye computer engineer ke pass le jate hai jis se hamara time be zaaya hota hai our paisa be zaaya hota hai.
Windows 7 Me Auto Updates Kaise Band Kare | Easy Tricks | Mr Solution
Android Apps Computer Main Kaise Chalaye | Android Emulator For Pc
Cash on Delivery | Chinese Products Pakistan Me Kaise Buy Kare
aaj me aap ko 5 aise tips batane wala hu jis se aap ke computer ya laptop ka speed be increase hoga our aap ka computer kabhi be hang nahi hoga.
Step 1
aap ne simply apne computer me start per click karna hai our run search karna hai.jaise he aap run search karenge to run aap ke saamne aa jayega aap ne run per click karna hai.our us me search karna hai %temp% our ok per click kar dena hai.
ok per click karne ke baad temporary files ki window aap ke saamne khul jayegi aap ne un sab files ko select kar ke delete kar dena hai.
ye wo files hote hai jo aap ke kisi kaam ke nahi hote our bekaar me aap ke computer ko slow karte hai.jab aap computer me koi be kaam karte hai to temporary files is file me jama hote hai.aap ne hafte me aik baar is files ko zaroor delete karna hai jis se aap ke computer ka speed increase hoga.
Step 2
dusra jo kaam aap ko karna hai wo ye karna hai ke jis drive me windows file save hoti hai us drive per aap ne right click karna hai.our phir properties per click kar dena hai.us ke baad aap ne disk cleanup per click kar dena hai.
disk cleanup per click karne se windows files me jitne be faltu files honge wo sab calculate hona shuru ho jayenge our kuch dher ke baad sab file aap ke saamne aa jayenge.
our clean up system files per click kar dene se aap ke saamne aik our window khul jayegi us window me aap ne ok kar dena hai.
Phoenix Nokia Flashing Software Download | Nokia Flash Tool
Alibaba.com kya hain? - alibaba membership fees
daraz seller account sign up | become a seller daraz pk
Phoenix Nokia Flashing Software Download | Nokia Flash Tool
Alibaba.com kya hain? - alibaba membership fees
daraz seller account sign up | become a seller daraz pk
to aap ke windows files me jitne be temporary files honge jo aap ke kaam ke nahi hote hai our jis se aap ka computer ya laptop slow work karta hai wo sab delete ho jayenge.ye kaam be aap ne hafte me aik baar zaroor karna hai.
Step 3
teesra kaam jo aap ko karna hai wo ye hai ke aap ne ccleaner download our install karna hoga apne computer me.
ccleaner software aap bilkul free me download kar sakte hai apne computer me.ccleaner aap ke computer our laptop me temporary files cleaner our errors khatam karne ka kaam karta hai.
bas aap ne simply ccleaner ko open karna hai our scan per click karna hai to ccleaner software aap ke pure computer ko scan karna shuru kar dega our jitne be errors honge un sab ko detect kar lega.
bas us ke baad aap ne simply clean per click karna hai.jis se wo errors our faltu files aap ke computer se khatam ho jayenge.
Step 4
buhat se dost aise hai jo apne computer me antivirus install nahi karte.jo ke hamare computer our laptop ki security ke liye buhat zyada aham hai.
antivirus aik aisa program hai jo viruses,worms,trojan horses jaise bad programs ko rokne ka kaam karta hai aap ke computer me.
jab virus aap ke computer me aata hai to aap ke programs sahi tarha se work nahi karte our aap kisi program ko kholte hai to us me not responding ka masla pesh aata hai.computer hanging problem kaise solve kare
hamare buhat se program corrupt be ho jate hai our hamara computer be slow work karta hai.
to lazmi antivirus ko apne computer me install kiya kare our updated antivirus program use kiya kare.
Step 5
for example agar aap ne apne computer ya laptop me 4 partition kiye hai our har aik partition yani drive 20 20 gb ka hai.to aap ne is tarha nahi karna ke 20 gb ka drive hai our aap ne us me 20 gb ka he data daal diya.slow computer ki speed badhane ka tariqa
is se aap ke computer per buhat zyada load aata hai.to aap is tarha kare ke agar 20 gb ka drive hai to aap us me 18 ya 19 gb tak ka data daala kare.is se aap ke computer per bilkul be load nahi aayega.our aap ka computer fast work karega.
our aik our baat ke jis drive me window install hoti hai us me bilkul be our program na dala kare.is se computer our laptop ke speed per asar padta hai.
umeed karta hu ke in 5 tips se aap ke computer ya laptop ke slow work karne ka problem solve ho chuka hoga.
Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye | Top 5 Affiliate Programs
2019 Me Blog Traffic Kaise Increase Kare | 5 Important Tips
Google Adsense Approved kaise kare blog ke liye jania | new trick 2019
बेहतरीन लेख ..
ReplyDeleteसाझा करने के लिए धन्यवाद !!
Post a Comment