Remove Audio and Video Noise From Camtasia Studio


Remove audio and video noise from camtasia studio

Remove Audio and Video Noise From Camtasia Studio.Agar aap youtuber hain our aap camtasia studio se apne youtube channel k liye video record karte hain.to jab aap video record karte hain.to aap ke ird gird ki maahol ki jo noise hota hain.to wo be aap ke video mein record ho jata hain.jis se app ki video per buhat bura asar parta hain.

Audio Aur Video Ka Noise Kaise Remove Kare


agar aap youtuber to aap camtasia studio se jo video apne youtube channel ke liye record karte hain. to us mein important us video ke andar jo audio hoti hain wo important hoti hain.agar us video mein background noise ho to aap ke video ki quality buhat zyada haraab ho jati hain.to us ko remove yani khatam karne ke liye kisi our software ki zaroorat nahi hain.camtasia studio mein he aap us ki background noise yani jo sansanahat hoti hain aap use ba aasani remove kar sakte hain. 

Camtasia studio mein video record karne se pehle aap is baato ka zaroor khayal rakhe.


> aik band kamre mein video ko record kare
> our agar aap ghar mein video record karte 
hain to apne ghar walo se kahe k kuch dher 
ke liye shor na kare. 
> achi quality wala microphone use kare


bas aap simply camtasia studio ko open kare.our uper jo import ka option hota hain us per click kare our jis be video ya audio se aap background noise remove karna jahte hain to us video ya audio ko import kare. import karne ke baad us video ya audio ko ad to timeline kare.

ad to timeline karne k baad video ko select kare our uper audio ke button per click kare to uper likha hoga enable noise removal to us ke saat mein jo box hain us mein check lagaye to aap video ya audio se jo background noise hoga wo remove yani khatam ho jayega.

our agar aap apni video ki jo volume level hain us ko aik level mein karna jahte hain.volume level mein karne ka matlab ye hain k jab hum video record karte to kabhi uncha bhol dete hain our kabhi slow bhol dete hain.to us ko aik level mein karne ke liye app phir audio ya video ko select kare our audio per click kare our enable noise removal k uper likha hota hain enable volume leveling to box mein aap check lagaye to aap ki jo video ya audio hain to us ki sound yani awaaz wo aik level mein ho jayegi.

1 Comments

Post a Comment