Best Powerful FREE SEO Tools For Bloggers - Build Your Own Website (2019)

Build Your Own Website (2019)

Best Powerful FREE SEO Tools For Bloggers - Build Your Own Website (2019).aaj is page per me aap se baat karne wala hu aik free seo tool ke baare me jinhe aap use kar sakte hai apne website ko faster way me rank karane ke liye kafi kamal ke keywords ko find out karne ke liye our apne website ke speed ko badhane ke liye aap use kar sakte hai.

our aise buhat se tools hai jo aap ko ye small seo tool website free me provide karta hai.our me aap ko small seo tool website ke kuch popular tools ke baare me batane wala hu.baqi tools aap small seo tools website ko visit kar ke dekh sakte hai.

* Google adsense kaise approve kare 2019
Google Adsense Identity Kaise Verify Kare
* 2019 me blog traffic kaise increase kare
* High pr dofollow backlinks kaise banaye
* Blog ke sabhi posts me ads kaise lagaye

dosto agar aap apne blog ya website ko rank karana chahte hai google ke first page per our aap apne blog ya website se paisa kamana chahte hai.to aap ko seo tools use karne honge.chahe wo paid me ho ya free me seo tool ke bagair website ko rank karna kafi mushkil hai.aaj me aap ko small seo tool website ke top 8 seo tools ke baare me bataunga jin ko use kar ke aap apne website ko top level bana sakte hai.

1. Keyword Suggestion Tool

keyword research tool website ko rank karane ke liye our website se paisa kamane ke liye aap ko kafi ache our high cpc wale keywords ko search karna hoga jo keyword research tool ke bina aap nahi kar sakte.

keyword ko search karne ke liye aap small seo tool website ka Keyword Suggestion Tool use karenge jis se aap apne topic ke mutabik keywords ko nikal sakte hai our apne article me use kar sakte hai.jis se aap ka wo post be rank karega our agar high cpc keywords honge aap ke article me to aap ka earning be badega.

2. Plagiarism Checker Tool

plagiarism checker tool ki madad se aap ye maloom kar sakte hai ke aap jo post likh rahe hai ye unique hai ya duplicate hai.jo ke kafi acha feature hai small seo tool website ka is tool ko be aap bilkul free me us kar sakte hai.

* Chinese Products Pakistan Me Kaise Buy Kare
Affiliate Marketing Se Paise Kaise Kamaye

bas simply aap jo be post likhe us ko publish karne se pehle sab text ko copy kare our plagiarism checker tool ko open kar ke waha per paste kare our check plagiarism per aap click kare.

to agar aap ka article unique hoga to aap ko unique dekha dega our agar aap ka article duplicate hoga to aap ko duplicate dekhayega.

aap ke saamne pura detail aajayega ke kis kis website se aap ke post ka content match kar raha hai.content ka konsa text match kar raha hai.to is tool ko use karne se aap ke website per kabhi be copyright strike nahi aayega.

3. Backlinks Maker Tool

small seo tool aap ko backlinks maker tool free me provide karta hai.jis se aap apne website ke liye dofollow backlinks free me bana sakte hai.backlinks to aap ko pata hai ke website ko rank karane ke liye kitne aham hote hai.

* Alibaba seller account kaise banaye
* Daraz seller account kaise banaye

small seo tool ki madad se dofollow backlinks banane ke liye aap simply small seo tool website ko open kare neeche aap ko backlink maker ka option melega us per aap ne click karna hai.

us ke baad app ne apne website ka url enter karna hai our make backlinks per aap ne click karna hai.to doffolow backlinks banna shuru ho jayenge our jitne be dofollow backlinks small seo tool website ke pass available honge un sab per aap ke website ka dofollow backlink create ho jayega.

4. Backlinks Checker Tool

backlinks checker tool.is tool ki madad se aap apne website ke backlink check kar sakte hai.ke kitne dofollow backlinks hai our kitne nofollow backlinks hai.our is se aap domain ki rating be check kar sakte hai.

backlinks checker tool me aik zabardast baat ye hai ke aap dusre popular websites ki backlinks check kar sakte hai ke un websites ne kin kin websites me apne backlinks create kiye huwe hai.us tarha aap be un websites me backlinks bana ke apne websites ko rank kara sakte hai.

5. Article Rewriter Tool

article rewriter tool ye kaam karta hai ke agar aap ne koi article likh diya our likhne ke baad aap ne us article ko plagiarism checker tool ki madad se check kiya.our check karne ke baad us me copyright issue aata hai.to use aap article rewriter tool ki madad se theek kar sakte hai.

aap simply article rewriter tool ko open karenge our us article ko waha per paste karenge.our rewrite article per click karenge to aap ke article se sabhi copyright content ko nikaal dega.us ke baad aap us article ko publish karoge to aap ko copyright ka masla pesh nahi aayega.

* Windows auto updates kaise band kare
Computer or Laptop Ki Speed Kaise Badhaye

6. Grammar Checker Tool

grammar checker tool.ye tool un logo ke liye hai jo english me article likhte hai.our un ko pata nahi hota ke aakhir english me article kaise likhte hai.jise likhne me wo kafi sare mistakes kar lete hai.kabhi grammatical mistakes karte hai ya comma lagana bhool jate hai our kabhi capitalization and punctuation ki mistakes kar lete hai.

ye sab mistakes agar aap ke articles me honge to ye buhat zyada rukawat peda karta hai post ko rank hone me our acha be nahi lagta.to in sab mistakes ko theek karne ke liye aap grammar checker tool ka use kar sakte hai.

7. Broken Links Checker Tool

generally hamare website ya blog me buhat saare links hote hai chahe wo kisi post ka link ho website ka link ho affiliate links ho ya social media links ho lekin kaye baar aisa hota hai ke jab hum us link per click karte hai.to wo kaam nahi karta our 404 ka error show karta hai.to is tarha ke links ko broken links kaha jata hai.

to in links ko maloom karne our khatam karne ke liye hum broken links checker tool ka use karenge.bas aap simply broken links checker tool ko open karenge our apne website ka url enter karenge our check per click karne se hamare website me jitne be broken links honge wo sab hamare saamne aajayenge.

8. Meta Tags Generator

meta tags generator tool.google search engine jo hai wo aap ke blog ya website ke naam se aap ke website ko nahi pehjanta balke meta tags ki madad se aap ke website ko search karte hai.

meta tags generator tool ki madad se aap free me apne website ke liye meta tags generate kar sakte hai.us ko aap apne website ke html me lagayenge tab he search engine aap ke website ko pehjaan paayega our aap ke website ko run kar sakega.

meta tags generate karne ke liye aap meta tags generator tool ko open kare our jis topic ke hawale se aap ka website hai.us ke mutabik aap description enter kare tags enter kare our apne website ka 60 words ka title enter kare our generate meta tags per click kare.

to html language me aap ke website ka meta tags generate ho jayenge.us ko aap copy kare our apne website ke html me ja ke head ke neeche paste kar ke save kare.to is tarha aap free me apne website ke liye meta tags generate kar sakte hai.

umeed karta hu ke small seo tool aap ko kafi pasand aaya hoga.is SEO tool ka use kar ke aap free me aik top level website bana sakte hai.

Youtube Facebook Page Se Kaise Link Kare
Android Apps Computer Main Kaise Chalaye

3 Comments

  1. Paragraph writing is also a excitement, if you
    be acquainted with then you can write otherwise it is complex
    to write.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  3. A new tool that we’re experimenting with at work is the free INK app. I haven’t been using it long, but it’s already helped improve the quality of my writing and save me hours and hours of my time. We are total INK for All converts. INK also offers a Wordpress plug-in which also helps save even more time

    ReplyDelete

Post a Comment