Blogspot Website Ke Post Ke Center Me Ads Kaise Lagaye!
Method 1
to aap ne sab se pehle apne google adsense account ko open kar dena hai our ads unit ko open karna hai.agar aap ne pehle se koi ad generate kiya huwa hai to us ke code ko copy kare.our agar pehle se generate nahi kiya hai to new ad generate kar ke us ke code ko copy kare.
us ke baad aap ne jis blog ke post me ad lagana hai us ko aap ne open karna hai our post per click karna hai.our jis be post mai aap ne ad lagana hai to us post ko edit kar lena hai.our html per click kar dena hai.to aap ke saamne us post ka html khul jayega.
ab html me jis be paragraph ke neche aap google adsense ad code ko paste karenge to wo waha par show hoga bas aap ne simply code ko paste karna hai our update per click karna hai.to us post ke article me add show hona shuru ho jayega.blogger website ke post ke beej me adsense ads kaise lagaye.
agar aap ne new adsense ad generate kiya hai to us ke active hone mai taqreeban 1 ganta lage ga to tab blog ke post ke article me ad show hoga.
lekin yaha par aik baat aap ko batata chalu ke is tarha blog ke sabhi post ke html me app ko ad lagane honge tab he sabhi post me ad show honge.
jo mere khayal se kafi mushkil kaam hai.our is me aik our masla be hai ke agar aap ke blog ke ads per invalid clicks hona shuru hogaye to phir buhat mushkil hoga kyu ke invalid clicks ko khatam karne ke liye aap ko apne blog se google adsense ads hatane honge.our aik aik post ke html se google adsense ke ads hataana kafi mushkil hoga.
agar google adsense ads nahi hataye blog se our invalid clicks aate rahe ads per to phir hamara google adsense account suspend be ho sakta hai.
Google Adsense Ads Blog Ke Sabhi Post Me Lagane Ka Tariqa!
Google Adsense Ads Blog Ke Sabhi Post Me Lagane Ka Tariqa!
Method 2
dusra method jo me aap ko batane wala hu wo blog ke post me ads lagane ka sab se best tariqa hai.aap sirf aik jaga me google adsense ads lagayenge our wo sabhi post me dekhaye denge.
sab se pehle aap ne google adsense code ko converte karna hoga to aap ne simply ad ko copy karna hai our adsense code converter website ko open kar ke code ko converte kar ke copy kar lena hai.
sab se pehle aap ne google adsense code ko converte karna hoga to aap ne simply ad ko copy karna hai our adsense code converter website ko open kar ke code ko converte kar ke copy kar lena hai.
us ke baad aap ne simply blog ko open karna hai our theme per click kar dena hai our us ke baad html per click kar dena hai.blog ke sabhi post me google adsense ads show karne ka tariqa
html khulne ke baad aap ne simply apne keyboard se ctrl + F press karna hai to aap ke saamne search box khul jayega.
us ke baad aap ne neeche image me diya huwa code search karna hai.ye code aap ko html codes me 3 ya 4 jaga melega kisi template me 3 hote hai our kisi me 4.
aap ne simply us codes ke uper ya neeche convert kiya huwa google adsense ke ads code ko paste kar dena hai our save theme per click kar dena hai.
is kaam ko karne se blog ke sabhi post mai google adsense ke ads show honge.
our agar kisi waja se kal aap ko blog se google adsense ads hataana pade to aap aasani se hataa sakenge.blog post ke center me ads lagane ka tariqa.
Suwon
ReplyDeletePost a Comment