Top 6 FREE Cloud Storage Services - Best Cloud Storage Services 2022

Best Cloud Storage Services 2019

Top 6 FREE Cloud Storage Services - Best Cloud Storage Services 2022.aaj hum baat karenge free cloud storage services ke baare me.aap to jaante he honge ke cloud storage aaj kal ke zamane me kitna important hai.aap ke pass agar buhat zyada data hai.our aap use secure rakhne ke liye pareshan hai to cloud storage system ka use kar ke aap apne data ko safe rakh sakte hai.cloud storage me aap videos, music, photos, contacts our buhat se aur documents save kar sakte hai.

* Best Download Manager Free Download Kare
* Windows 7 Auto Updates band karne ka tariqa
* Android Apps Pc Aur Laptop Me Kaise Chalaye
* Window Detect Hard Disk Problem Solve Kare

Top 6 FREE Cloud Storage Services

jab be baat aati hai data storage ki to hum generally use karte hai apne hard drive ko ya pen drive ko ya kisi aur data storing devices ko.to ye buhat he acha aur aasan tariqa hai.lekin ye jo tariqa hai data store karne ka is ke kuch problems be hai.



jaise ke ho sakta hai ke jis hard drive me hum ne apna data save kiya huwa hai wo hard drive corrupt ho jaye.our hum ne jo data us me store kiya huwa hai.wo sab data hum lose kar de.jo ke aap ke liye kafi zyada important hota hai.



ya phir aisa be ho sakta hai ke aap kisi our city ya country me ja rahe hai.our aap apne data ko apne sath le jana chahte hai.lekin aisa to nahi hai ke aap apne pure computer set ko apne sath le jayenge.ya phir apne laptop ko sath le jayenge.ha aisa kar sakte hai aap ke apne pen drive ya hard disk ko apne sath lejaye.lekin ho sakta hai ke wo aap se raaste me kahe ghum ho jaye ya koi aur problem aajaye. 


to ye jo data ko save rakhne ka apne data ko secure rakhne ka our aik jaga se dusre jaga le jane ke problem se bajne ke liye aap aik tariqe ka sahara le sakte hai.our wo hai cloud storage system.

YouTube Channel Facebook Page Se Kaise Link Kare
Mobile Me Facebook Videos Kaise Download Kare

in ko aap android mobile me be use kar sakte hai.tamam cloud storage apps aap ko playstore me mil jayenge.un ko aap easily install kar ke apne android mobile me use kar sakte hai.

Cloud Storage Kya Hai


cloud storage online data save karne ka aik system hai jis me buhat saari companies apna aik online data save karne ka system banate hai.jis me hum apna data save rakhte hai.our apna data save our secure rakhne ke liye aap un companies ko kuch paisa dete hai.for example agar aap microsoft company ka onedrive cloud storage system use karte hai.jo computer laptop windows me available hota hai.



onedrive join karne ke baad pehle aap ko 15 Gb storage free me milta hai.jis me aap 15gb tak data bilkul free me save kar sakte hai.our 15 GB se uper save karne ke liye aap ko pay karna hoga.to ise kehte hai cloud storage.


Cloud Storage Ke Fayde

cloud storage buhat he kamal ka system hai apne important data ko save karne ka.jitne be cloud storage providers hai wo buhat saare data server banate hai.our un ko use kar ke hum un me apna data save karte hai.to ye jo tariqa hai buhat he reliable tariqa hai data ko save rakhne ka our secure rakhne ka.wo is liye ke wo aap ke physical context se dur rehta hai.aap kisi tarha se be use kho nahi sakte.

aap jo be data un cloud storage servers me save karte hai.wo companies aap ke data ke 3 ya 4 copies bana lete hai.our har copy ko alag alag server me rakh dete hai.tha ke agar aik server kharab be ho jaye to aap ka data save rahe.

* Samsung Mobile FRP Lock Kaise Tode
* Disabled Iphone Ko Kaise Unlock Kare

cloud storage ka aik aur be fayda hai ke agar aap aik city se dusre city me jate hai to aap ko kisi usb flash drive ya hard disk le jane ki zaroorat nahi hai.bas jis company ke cloud storage system per aap ne apna account banaya tha aap simply us account ko log in kare.log in karne ke baad aap apne data ko use kar sakte hai.apne data ko download kar sakte hai.our friends ke sath share be kar sakte hai.

Top 6 FREE Cloud Storage Services 2019


1:- Google Drive Cloud Storage

Google drive aap ko 15 Gb free storage deta hai.aap jo be gmail id banate hai.to google drive us ke sath connect hota.our aap ke gmail account me jitne email aate hai pictures aate hai.ya aap un se email karte hai.ya google per aap koi cheez save karte hai.to wo automatically google drive me save hota hai.aap jitne be gmail id create karenge har aik gmail id per aap ko 15gb free storage milta hai.ye google ka product hai jo ke kafi acha hai.

2:- Dropbox Cloud Storage


Dropbox 5 Gb free storage deta hai aap ko jis me aap apne files save kar sakte hai.our 5 gb uper files store karne ke liye aap ko pay karna pade ga.dropbox kafi famous cloud storage provider hai.kyu ke ye buhat pehle shuru huwa tha.aap ko to maloom hoga ke dropbox aap ko 500Mb free deta hai agar aap kisi ko refer karte hai our wo use install karta hai.to dropbox me aap ko kafi ache features milenge lekin free space aap ko sirf 5 GB milega.

3:- Mega Cloud Storage

Dropbox cloud storage se jo aage hai wo hai mega cloud storage.mega ka naam sunte he aap ko andaza ho gaya hoga ke koi buhat bada cheez hai.mega 50gb free storage deta hai aap ko.jo mere khayal se kafi zyada hai.50 GB tak data bilkul free me aap me aap mega me save kar sakte hai.our kisi be waqt aap us se apna data retrieve kar sakte hai.

4:- Degoo Cloud Storage

Mega cloud storage ke baad aata hai sab ka baap degoo.degoo 100 Gb free storage deta hai aap ko.friends our cloud storage services ka mila ke be 100 Gb nahi hoga our degoo akela aap ko 100 Gb free Storage deta hai.me to 15 Gb me apna pura data manage kar leta hu.100 Gb to mere khayal se kafi zyada hai.

5:- Onedrive Cloud Storage

onedrive microsoft company ka product hai.jis tarha windows 7,8,10 microsoft ka product hai bilkul usi tarha onedrive be hai.our aap ko to pata hai ke microsoft company ketni famous hai puri dunya me.to us tarha se onedrive be kafi famous hai.onedrive be aap ko 100 GB free storage deta hai.

6:- Box Cloud Storage

Box cloud storage aap ko 10 Gb free storage deta hai.box cloud storage me zyada tar log pdf files,doc files,txt files our html file wagaira store karte hai.box be kafi user user friendly our reliable cloud storage service hai.

Umeed karta hu dosto ke aap Top 6 FREE Cloud Storage Services ke baare me jaan chuke honge.jin cloud storage services ke baare me me ne aap ko bataya ye buhat ache our zyada user friendly hai puri dunya me.in me aap apne data ko store kar ke secure rakh sakte hai.our puri dunya me jaha per be aap ke pass computer our internet hoga waha per aap apne account ko open kar ke apne data ko access kar sakte hai.

* Cloud Storage Kya Hai? Hindi Me Jankari
* Cloud Storage Ke Fayde - Hindi Guide

1 Comments

Post a Comment