Blogger Par Website Kaise Banaye | Blog Kaise Banaye 2021 - aaj is page per me aap ko complete website banane ka tarika bataung. ke aap kaise free me apne liye aik professional website create karenge. our us per google adsense approval hasil kar ke paise kaise kamayenge.
website aap free be bana sakte hai. our agar wordpress per banana chahte hai. to us ke liye aap ko Web Hosting, Domain Buy karni hogi. lekin is page per to me aap ko free method batane wala hu. Wordpress blog kaise banate hain. is per me detail me aik post share karunga.
Blogger Kya Hai?
Blogger google ka aik buhat he popular aur zyada use hone wala platform hain. aur aap ko to pata hoga ke google ka har product kamal ka hota hain. jaise chrome browser, youtube, google maps, playstore .etc sabhi google ke products hain. us tarha se blogger be google ka product hain. jo ke best free blogging platform me shumar hota hai.
Blogger Life Time Free Hosting
blogger aik aisa platform hai. jo aap ko life time Free Hosting aur Domain provide karta hai. aap free me blogger per apna website banaye. aur post likhte chale jaye likhte chale jaye. blogger aap ko kabhi be nahi kahega ke bas. to is se maze ki aur kya baat ho sakti hai. to blogger free me online earning ka buhat acha platform hain. bas bande ke pass kuch skills lazmi hone chahiye.
Blogger Per Free Website Kaise Banaye
blogger par free blog banane ke liye aap ke pass gmail id hona lazmi hai. agar aap ke pass gmail account nahi hain. to gmail id kaise banate hain. to us ka tariqa aap ko youtube per mil jayega.
Read more:- Best Powerful FREE SEO Tools For Bloggers
aur agar aap ke pass pehle se aik gmail id hai. to wo be theek hai. lekin me aap ko recommend karunga. ke website name ke mutabik Gmail Id Create kare.
Gmail id banane ke baad blogger.com open kare. open karne ke baad Create Your Blog per click kare.
us ke baad aapko sign in karne ko kahega. to jo gmail id aap ne banayi thi us se login kare.
Blogger me login karne ke baad aap ko Create Your Blog ka button show hoga. us per aap ne click karna hai. click karne ke baad aap ke samne title our blog address ki window khul jayegi.
title ke box me apne website ka name enter kare. jo aap ne socha hoga. title aap baad me change be kar sakte hain. Website address enter karne ke baad neche theme ka option hoga. jo theme by defualt select hoga. to us ko select rehne de our create blog per click kare. to aap ka Website Successfully Create ho jayega. aur aap apne website ke dashboard me log in ho jayenge.
Blog Title aur Blog Address SEO
Blog title length hamesha 60 characters ka rakhe. ye Website SEO ke liye kafi important hota hain. Blog address buhat important hota hain. aap ke blog ko search engine me rank karne ke liye. blog ka address aap hamesha chota rake. is se aap ko website ranking me buhat madad melega.
me aap ko yaha per aik baat batata chalu. ke aap koi aisa keyword search kare google per. jis per traffic zyada ho. aur us keyword per kisi ne website nahi banaya ho.
to us keyword ko aap utha ke apne website address me use kare. to is se ye hoga. ke jaise he aap is keyword ko website address me use kar ke website banayenge. aur website ko complete karne ke baad Google Webmaster Tool me index karenge.
to aap ke website per jaldi traffic aana shuru ho jayega. chahe aap ke website ke post rank kare ya na kare. lekin aap ke website ka homepage rank karega. kyu ke aap ne apne website ke address me keyword ka use kiya hoga.
Website Customization
website to aap ne bana liya. ab is website ki achi tarha se customization karni hogi. neeche me aap ko website ko achi tarha se setup karne ka pura tariqa bata raha hu.
Mobile Friendly Blogger Template
aaj ke zamane me website per sab se zyada traffic mobile se aata hain. to agar aap ke pass blog ya website hai. to us me jo theme aap use karte hai. wo Mobile Friendly lazmi hona chahiye.
internet ko log sab se zyada mobile per istimaal karte hai. to is liye agar aap ke blog par log mobile se visit karte hain. aur aap ke website ka navigation bar, search bar ya koi aur cheez theek se na dekhta ho. to phir aap ko problem ho sakta hain. aur aap ke Blog Ranking par buhat bura asar pad sakta hai.
matlab ye ke aap ke website ka Template Responsive hona chahiye. ke jis be device me aap ka blog koi visit kare. to aap ka website us device me fit ho sake. kyu ke agar aap ne apne website ko buhat ache tariqe se design kiya hain.
our buhat ache ache post likhte hain aap apne website per. lekin aap ke blog ka Template Mobile Friendly nahi hai. aur aap google adsense ke liye apply karte hai. to me yaqeen se kehta hu. ke google adsense approval milna aap ke liye kafi mushkil ho sakta hain.
Meta Tag Description
website ka description our tags buhat he zyada important hote hain. Blog Seo Optimization ke liye. kyu ke meta tag description Google Search Engine ko batata hain. ke ye website kis topic per bana huwa hain.
agar aap ne apne website ke liye Meta Tag Description Generate nahi kiye hain. to aap ka Website Search Engine me show he nahi hoga. to is liye aap ko lazmi ye kaam karna chahiye.
tamam search engine html ki basha samajhte hai. is liye aap ko meta tags description html me generate karne honge. buhat se aise template hai. jis me aap ko meta tag description add karne ka option mil jata hain.
lekin kuch aise Blogger Template hain. jis me ye option nahi hota hain. to me aap ko aik website ka link de raha hu jaha per aap easily meta tag description generate kar sakte hain.
meta tag description generate karne ke baad. aap apne blog ke theme me ja kar edit html karenge. aur Head ko search karenge. aur jo tags aur description aap ne generate kiya hain. use head ke neeche paste kar ke save kar denge. to is tarha se aap apne website me tags description add kar sakte hai.
Navigation Bar Customization
jab be hum apne blog me Custom Template install karte hain. to us template ke navigation bar me links add hote hain. aur ye links us website ke hote hai. jinho ne is template ko banaya hota hain.
to aap ne un links ko hata dene hai. aur navigation bar achi tarha se customize kar ke us me apne website ke link laga dene hain.
Website Sidebar Customization
jab be hum koi Custom Template upload karte hai. to us ko customize karna padta hai. sidebar me buhat saare faltu widgets add hote hain. to un widgets ko hatana padta hai.
me aap ko jo widgets batane wala hu. ye kafi important hote hai. website ke liye. Popular Post, Categories aur Blog Archives ko aap ne lazmi apne website ke sidebar me laga dene hain.
Footer Customization
Website Footer ko be aap ne achi tarha se customize kar lena hai. Blog Footer me aap popular post, feature post, youtube subscribe button, Facebook Page Plugin .etc widgets laga sakte hai.
yaha per aik baat aap ko batata chalu. ke Copyright Credit aap ne lazmi footer se remove kar dena hai. jin templates se remove nahi hota un ko apne website me use na kare.
Website Most Impotant Pages
Dosto agar aap apne blog website par Google Adsense Approval hasil karna chahte hai. to phir aap ne lazmi in pages ko apne blog me lagana hoga. jis ke bina aap ko adsense approval nahi mil sakta.
About Us Page: is page me aap apne baare me likhenge. ke aap ne ye website kis maqsad ke liye banaya huwa hain. aur is website per aap kya kya share karenge logo ke sath. aur apne personal life ke baare me likhna hai.
aik acha sa About Us Page Create kar dena hai aap ne. aakhir me apna email address zaroor dale. aur apne social links be zaroor add kare about us page ke end section me.
Contact Us Page: is page me aap aik contact us form banayenge. jis se agar koi visitor aap se contact karna chahe to aasani se aap se contact kar sake. contact us form aap aasani se online generate kar sakte hai.
aap simply google per Contact Us Page Generator type karenge. aur search karenge to buhat se aise website aap ke saamne aajayenge. jaha per aap easily apne website ke liye contact us form generate kar sakte hai.
Privacy Policy Page: ye page be kafi important hota hain. aap ke blog ke liye. kyu ke jab aap google adsense ke liye apply karte hain. aur adsense team aap ke blog ko review karta hain. to aap ke website me privacy policy page zaroor check karta hai.
jin websites me privacy policy ka page nahi hota hai. to adsense un websites ko approval nahi deta. privacy policy page be aap online free me generate kar sakte hai.
Write High Quality Unique Content
aik website ka pehjaan hain us ka article. buhat se dost aise hain. jo sirf is soch me hote hain. ke google adsense ka approval kaise hasil kare. apne website ke liye backlinks kaise banaye. lekin High Quality Content likhne ke baare me nahi sochte. ke apne website par acha aur Unique Content kaise likhe.
jis be cheez ke baare me aap ko knowledge hain. usi ke baare me aap blog banaye. aur usi ke baare me likhe. aur jis be topic ke baare me aap likhne ja rahe hain. us ke baare me aap ko puri information honi chahiye. us ke baad us per post likhe aur detail se likhe.
Kya Blogger Ke Subdomain Per Adsense Approval Milta Hai?
Yes, G ha milta hain. agar aap mere bataye huwe in sab methods ko follow karenge. pehle Blogspot Sub Domain Per Adsense Approval nahi milta ta. lekin ab milta hain. agar aap apne website per unique content likhte hain.
Blogger Subdomain Adsense Approval Proof
Website Banane Ka Tariqa to me ne aap ko detail se bata diya. lekin ab aap ko proof be to dena hoga. ke mere in tariqo ko follow kar ke aap ko waaqi me Google Adsense Approval milega. ya me jhoot bol raha hu.
25-03-2017 ko me ne blogger per aik blog banaya tha. aur jo Website Banane Ka Tarika me ne aapko bataya. us tarha se me ne use customize kiya. aur 15 tak me ne us per unique articles likhe. aur phir google adsense ke liye apply kiya.
aur kuch he dino ke andar mujay google adsense approval mil gaya. mere us website ka link me aap ko de raha hu use visit kar ke check kare. to dosto aap be free hosting, domain ka fayda uthae. aur blogger free blog banaye. aur free me Online Paise Kamaye.
aur kuch he dino ke andar mujay google adsense approval mil gaya. mere us website ka link me aap ko de raha hu use visit kar ke check kare. to dosto aap be free hosting, domain ka fayda uthae. aur blogger free blog banaye. aur free me Online Paise Kamaye.
Visit➤ Blogger Subdomain Adsense Approval Proof
Umeed karta hu ke aap jaan chuke honge ke blogger per free website kaise banate hai. agar phir be aap ko blogger per free website banane me koi problem pesh aata hai. to aap comment box me bata sakte hai.
Post a Comment