Id Card Par Sim Number Check Karne Ka Tarika | All Sim Number Details

Id Card Par Sim Number Check Karne Ka Tarika | All Sim Number Details. is page per me aap ko bataunga ke aap kaise apne cnic per Online Sim Number Check karenge. aik aise free sim check karne wali website ke baare me aap ko batane wala hu. jaha per aap easily apna cnic number enter karenge. aur aap ke cnic per jitne be Sim Number Register honge. mobilink jazz, ufone, telenor, zong, warid sab aap ko show ho jayenge.

Id Card Par Sim Number Check Karne Ka Tarika | All Sim Number Details

Read more..
➤ Free Website Bana Kar Paisa Kaise Kamaye

➤ Google Adsense Approval Kaise Hasil Kare


bilkul he free website hai. buhat se hamare pakistani bhai aise hai. jo apne 
shanakhti card per Sim Ki Tadad check karna chahte hai. lekin un ke ilaaqe me franchise nahi hota. to is sim check karne wala website ko visit kar ke aap aik minute me apne cnic per register tamam numbers ki jankari free me hasil kar sakte hai.

Cnic Par Sim Check Karne Ka Tariqa


Cnic per Sim Number Details Check karne ke liye simply aap Google per jaye aur type kare "sim check" to pehle number per cnic.sims.pk website aajayega. us ko aap ne open kar lena hai.


website open hone ke baad aap ko 2 option show honge. CNIC aur Foreign ID to aap ne simply cnic select karna hai. aur apna shanakhti Card Number enter kar dena hai. us ke baad captcha verification kare. jab captcha verify ho jaye. to us ke baad submit per click kare.

Id Card Par Sim Number Check Karne Ka Tarika



to kuch he seconds me aap ke naam per jitne be sim card active honge. un sab sim cards ki detail show ho jayegi. yaad rakhe ke aik cnic per 5 se zyada sim activate nahi kiye ja sakte.lekin agar aap ko 6 ya 7 sim show karte hai. to ye Data Sim honge. Internet Sim ke ilawa aap 5 sim activate kar sakte hai apne nic number per.


umeed karta hu dosto ke aap ko jaan chuke honge. ke shanakhti card per sim numbers kaise check karte hai. aap ghar bhete apne mobile ya computer ki madad se apne 
Id Card Par Sim Number Check kar sakte hai.

1 Comments

Post a Comment