Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk

Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk


Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk.to aaj hum baat karenge daraz pk ke baare mai ke hum kaise daraz seller account banayenge our daraz online shopping center platform ko kaise become a seller join karenge.

daraz seller account ko hum kyu join kar rahe hai koi our kyu nahi join karte to wo is liye ke daraz pk sale ko pakistan mai buhat maqbooliat hasil hai our is website per buhat zyada traffic aata hai jo ke hamare sale ko barhane ke liye buhat acha hai.daraz app be aap ko playstore per mil jayega.daraz black friday ka be aap fayeda utha sakte hai.daraz free shipping ka option be aap use kar sakte hai. 



2018 ke new update ne kamal kar diya daraz ne daraz seller center ko bilkul change kar diya hai ab daraz alibaba ke website ki tara ban chuka hai ab har seller ka apna aik store hoga jise seller apni marzi ke mutabik customise kar sakta hai us mai apni marzi ke mutabik voucher our banners waghera laga sakte hai.aap ke store mai aik follow ka button be hoga jo be customer aap ke store mai aayega wo us button per click kar ke aap ke store ka follower ban jayega.


daraz nepal,bangladesh,burma,srilanka,pakistan countries main avalable hai.

Daraz Contact Number

(021) 111 132 729
(021) 111-735-537

Daraz WhatsApp Number

03415613141


Daraz Seller Center Registration


daraz website ko open kare our neeche scroll down kare to ko neeche aik option dekhye dega sell on daraz us per ja ke click kare to aap ke saamne screen per daraz seller account registration form khul jayega.

to pehle box mai aap ne apni country select karni dusre box mai aap ne apna mobile number enter karna hai teesre box mai aap ko slide to verify ka option milega to us ko slide karna hai slide karne ke baad aap ke mobile per aik sms aayega us mai aik code hoga uas code ko aap ne utha ke slide to verify mai aap ne paste karna hai.
Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk
us ke baad aap ne password dena hai 8 characters ka jis mai letter symbol our number shamil honge.us ke baad aap ne email address enter karna hai email address enter karne ke baad shop name enter kare jo be shop name aap ko pasand hai wo enter kare us ke baad daraz.pk term and condition ko achi tara pare our us per check lagaye our sign up per click kare to seller center register ho ke aap ke saamne screen per khul jayega.our aap ko email aa jayega.


Daraz Customer Account:


email mai aap ko customer account per click karna our is email ke madad se daraz per customer account banana hai jis se aap order packaging material haredenge.

Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk

Application Review & Verification:


customer account banane ke baad daraz aap ke account ko review karega us ke baad aap ke pass dusra email receive hoga.

Seller Online Training Survey:


us email mai daraz aap ko online training dega daraz seller center ke hawale se ke aap us mai product ko kaise add karenge order ko kaise submit karenge apne daraz store ko kaise design karenge promotions ko kaise join karenge sab kuch aap us training mai seekhenge training mukamal karne ke baad aap ko aik our email aayega.

Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk
Order Packaging Material:


email ko open karne ke baad aap ko order packaging material ka option melega aap ne us per click karna hai our aap ke saamne daraz pk ka home page khul jayega aap ne log in per click karna hai our aap ne customer account banaya ta us se aap ne login karna hai.us ke baad packaging material ko search kare our order kare.jab packaging material aap ke pass ghar par pahunch jayega tab aap ko aik our email aayega.
Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk

Shop Activation & Start Selling:


us email mai aap ko shop activation ka message aayega.matlab ye ke aap ka daraz online shop activate ho jayega aap start selling per kare our products upload karna shuru kar de.

Daraz Seller Account Sign Up | Become a Seller on Daraz Pk

1 Comments

Post a Comment